How to change upi pin in google pay | googlepay se upi pin change kaise kare




namaskar dosto aaj ham janne wale hai ki aap How to change upi pin in google pay upi pin ko google pay ke madat se kaise change kar sakte hai | bahut bar aisa hota hai ki hamara upi pin koi aur jan jata hai to us isthiti me hame hamara upi pin change kar lena chahiye nahi to hamare liye bahut bara problem ho sakta hai


to agar aapke sath bhi aisa kuchh huaa hai ya aap kisi aur wajah se apna upi pin change karna chahte hai to aap sahi jagah aaye hai kyoki aaj ham apko batane wale hai ki aap google pay ke madat se apna upi pin ko kaise change kar sakte hai 

how to change upi id in google pay

google pay se upi pin change karne se pehle apko ek bat ka dhyan rakhna hoga , bat ye hai ki agar aap google pay se upi pin change karna chahte hai to apke pass debit card hona bahut jaruri hai bina debit card ke aap google pay ka upi pin change nahi kar sakte 

agar aap bina debit card ke upi pin change karna chahte hai to to uske liye aap is link pe click kare how to change upi pin in phonepe without debot card

to me ummid karta hu ki apke pass debit card jarur hoga to chaliye jan lete hai ki google pay se upi pin kaise change kare step by step

step 1. sabse pehle apna google pay application open kare 

step 2. google pay ke home page pe aane ke bad uper right side me apko ek logo dekhne ko milega apko us logo pe click karna hai 

step 3. logo pe click karne ke bad apke samne apne jo bank add kiye hai wo apko dekhne ko milega apko uspe click karna hai 

step 4.  uspe click karne ke bad aapne jitna bhi bank add kiye honge google pay me wo sara bank aap dekh sakte hai

step 5. uske bad apko jis bank ka upi pin change karna hai  uspe click kare 

step 6. uske bad apke samne kuchh option aayega (1) SET AS PRIMARY ACCOUNT (2) DISPLAY QR CODE (3) FORGET UPI PIN? (4) VIEW BALANCE 
kuchh is tarah se lekin agar apko upi pin change karna hai uske liye apko forget upi pin pe click karna hai 

kyoki yaha change ka option apko nahi milega to forget upi pin pe click karne ke bad apko waha apna debit card ke details bharna hai uske bad waha se aap apna naya upi pin bana sakte hai  How to reset UPI pin phonepe googlepay paytm

0 Comments

Newest